This is default featured slide 1 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.

This is default featured slide 2 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.

This is default featured slide 3 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.

This is default featured slide 4 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.

This is default featured slide 5 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.

Saturday, 10 September 2016

Faqeerana Aaye Sada Kar Chale

Faqeerana Aaye Sada Kar Chale


Faqeerana Aaye Sada Kar Chale
Miyaan Khush Raho Ham Dua Kar Chale

Jo Tujh Bin Na Jeene Ko Kehte Thay Hum
So Is Ehd Ko Ab Wafa Kar Chale


jabee.n sajdaa karte hi karte gayi
haq e bandgi hum adaa kar chale

Shafa Apni Taqdeer Hi Mein Na Thi 
Ki Maqdoor Bhar To Dawa Kar Chale

bahut aarzu thi gali ki teri,
so yaa.n se lahu mein naha kar chale


parastish ki yaa.n taen ke aye but tujhe,
nazar mein sabho ki kHudaa kar chale

Woh Kya Cheez Hai Aah Jiske Liye 
Har Ek Cheez Se Dil Utthakar Chale

Koi Na-Umeedaana Karte Nigaah 
So Tum Hamse Munh Bhi Chhupa Kar Chale 

Dikhaayi Diye Yun Ki Bekhud Kiya 
Hamein Aapse Bhi Judaa Kar Chale 

Kahein Kya Jo Pooche Koi Hamse ‘Meer’ 
Jahaan Mein Tum Aaye The Kya Kar Chale

Meer Taqi Meer

Jis sar ko garur aj hai yan tajawari ka

Urdu Ghazal by Mir Taqi Mir


Jis sar ko garur aj hai yan tajawari ka
kal us pe yahin shor hai phir nauhagari ka

afaq ki manzil se gaya kaun salamat
asbab luta rah mein yan ham safri ka

zindan mein bhi shorish na gai apne junun ki
ab sang madawa hai is aashufta sari ka

har zakhm-e-jigar dawar-e-mahshar se hamara
insaf talab hai teri bedadgari ka


is rang se jhamke hai palak par ke kahe tu
tukra hai mera ashk aqiq-e-jigari ka


le sans bhi nazuk ke ahista hai bahut kam
afaq ki is karagah-e-shishagari ka


tuk mir-e-jigar-sokhta ki jald khabar le
kya yar bharosa hai chiragh-e-sahri ka


(By
Meer Taqi Meer)


Difficult words and their meanings


tajawari=Hukomat,  nauhagari=rona

afaq=wo jaga jahan zameen o aaman milte nazar aatay hen,    asbab=maal,    

safri=mutasir

zindan=qaid khana,     shorish=     junun=pagal pan,    sang=pathar,   madawa=ilaaj,   aashuftasari=pagal hona.


dawar-e-mahshar=roz-e-qayamat ka munsif-Allah Tallah


karagah=kaarkhana


tuk=zra,   sokhta= beemar-jala howa,  

chiragh-e-sahri=marne k qareeb

Comments System

blogger/disqus/facebook

Disqus Shortname

designcart